Advertisement

Lyrics of Deedan OST

 


Lyrics of Deedan OST


Kaise samjhe ga zamana bhala
Hum dard ke maron ka bhi to sun raha hai Khuda

Jisay hay rok kay rakha hova
In khushk si aankhon mein samandar woh chupa gum bhara

Jaan Qurban, Jana tujh pay jana

Ishq ki rahon mein jo dar badar phire
Suna hay her dua bhi usi ki hi asar karay

Teray dar say aa milay jo rastay chalay
Thay baray kathin magar jo faslay milay

Gham hi mile hain ishq kay bazaroon main
Chai hi rahi khizaan hum pay baharoon main

Jay kahan kis semtt jain
Hay qaid teri zulf kay hi sayoon main

Main nay bus teray khayaloon main guzarian ratain
Har ghadi sochta rehta hoon tumhari hi baatein

Tutain gi kesay yeah zanjeerain bhala
Jub rasm o rawajoon main her aik hay bandha bewaja

Jaan Qurban, Jana tujh pay jana





Post a Comment

0 Comments