Mujhy khuda py yaqeen hai OST song lyrics
Jalta asaam sulagti zameen meri tarjuman
Jalta asaam sulagti zameen meri tarjuman
Sath chora sub ny mera yehi meri dastaan
Mein Andioyon mein Jalta diya yun suglagta reh gaya
Akeela hoon tanhioon mein hi bikhar kar reh gaya
Saziish Hai kuch Kuch hainn gillay
Chalta hoon khawahish sii liye
Mujy Khuda Pe Yakeen Hai
Mujy Khuda Pe Yakeen Hai
Kasa yeh jahan badalta rang janey kab kahan
Jal gaya sara bahram bus reh gaya utha dhuwan
Sochta hun zindagi mein humsafar kis ko kahon
Patharon ka shaher hai seeshay k dil ka kiya karun
Tareekiyan jhaat lein zara
Mil jaye ga saya mera.
Mujhy Khuda Pe Yakeen Hai
Mujhy Khuda Pe Yakeen Hai
Thein tamnaien bohat si dil mein kuch armaan thay
Tuj ko apna samjh baithay hum bhary nadan thay
Raiza raiza ho chuka hun ap apni zaat mein
Har sitam ko yad kar k khub roya raat mein
Kitnay sitam tum ny kiye
Mein ny to lab bhi si liye
Mujhy Khuda Pe Yakeen Hai
Mujhy Khuda Pe Yakeen Hai
0 Comments